Saturday, November 7, 2009

MAUN

ab keval maun hi rah gaya hai hamare beech....
nistabh rat ki siyah chadar par tanki sitaron ki ladiyan....
tootkar bikhar rahi hain...
aur tumhari khanakti hansi...
kho gai hai hawaon ke saath....
jharokhe se jharti...
rimjhim barasti....
baarish ki boonden....
sab kuchh baha le gai hain....
keval tumhara naam...
ab bhi mere kaanpte hothon pe thahra hua hai....
khamoshi ki deewar todkar...
bahar nikalna chahte hain kuchh shabd....
magar.....majboor hain....
kyonki ab.......
kewal " MAUN" hi.....
baaki rah gaya hai....
hamaare beech..........................................

No comments:

Post a Comment